Nawa-e-Sahar Urdu poetry
Nawa-e-Sahar Urdu poetry
Hasan Mizaj Toosi
Podcast For Urdu poetry lovers. Recited by Hasan Mizaj Toosi
Tanhai- Faiz Ahmad Faiz. Nawa-e-Sahar S01E01
Tanhaee by Faiz Ahmed Faiz Voice- Hasan Mizaj Toosi Phir koi aayaa, dil-e-zaar! Nahin, koi nahin Rah’ro hoga, kahin aur chalaa jaayegaa Dhal chuki raat, bikharne lagaa taaron ka ghubaar Ladkhadaane lage aiwaanon mein khwabda chiraag So gayee raastaa tak tak ke har ik rahguzaar Ajnabi khaak ne dhundlaa diye qadmon ke suraagh Gul karo shammein! Badhaa do mai-o-meena-o-ayaagh Apne bekhwaab kiwaadon ko muqaffal kar lo Ab yahaan koi nahin, koi nahin aayega
May 24, 2021
40 sec