
Chalo aaj kuch kahaniya bunnte hai
Alfaaz hai, ehsaas hai
Phir Uss mulaakat mein bhi kuch baat hai
Har zikar mein ek raaz
Woh kal bhi mera aaj hai
Sach ki toh sirf yeh siyahi hi ek gawaah hai
Kya yeh iss jaam ka kamal hai?
Aaj bas unn kahaniyo k naam hai.
Aug 15, 2021
21 sec

Yeh raat ka sama hai
Jo tujh se juda hai
Khamoshi hai magar
Tere mere beech ki
Woh baatien sunai de rahi
Na bhule hai hum tujhe
Na bhula yeh raasta hai
Sheher hai yeh tera
Par mujhe pukar raha
Tu jo nhi
Phir woh baat kahan
Raahien Wahi sahi
Jaam toh naya hai
Na bhule hai hum tujhe
Na bhula sama hai
Jul 25, 2021
31 sec

Rahat kahan, chahat kahan
Dil mein dhakan hai magar ibadat kahan
Zinda hai lekin jeete nahi
Sochte hai lekin karte nahi
Woh junoon kahan, woh sukoon kahan
Jasbaat hai magar woh jazbaa kahan
Jul 3, 2021
19 sec

Shaam se thodi
Zara guftagu kr lijiye
Apne ishq ka kya pata
Woh raaz khol de
Unn khatto ka woh
Izhaar kr de
Boli thi hume
Har roz likhti rahi
Uss ikraar mein
Kabhi peeli hui
Kabhi gulabi hui
Har rang se hume
Lubhati rhi
Uske dard pe bhi zara
Gaur farmaiye
Milke bhi woh usse
Mil na saki
Woh dhal si gayi
Aur woh theher na saka
Boli thi hume
Har din ki ek nayi shaam hai
Ek naya izhaar hai
Ek naya inkaar hai
Jun 13, 2021
44 sec

Kya kahe
Kya na kahe
Iss soch mein hi reh gaye
Jo lavz thee zabaan mein
Woh muskurahaton mein kho gaye
Sheher bhi jo tham gaya
Unn palon mein kuch toh baat thi
Raakh ban k reh gayi
Dil mein woh jo bhi aag thi
Kya kahe
Kya na kahe
Hosh bhi raha nahi
Toh ab Kaagazo mein kaid ki
Zakhm se likhi hui
Taqdeer ki yeh shayari
Jun 6, 2021
29 sec

Kitna ghira hue hai tu apne khyalo mein
Unn aaj aur kal
Ke sawalo mein
Kab tak khud pe taras khaega
Kab ateet ke parde hataega
Kab tu unn sooraj ki kirno ko
Apne aaj se wakhiif karaega
Bandisho se thoda toh rukh mod
Yeh jasbat hai bade anmol
Inko jag se na tu chod
Khudse nazar mila
Thoda jasba dikha
Maan le bas ek baat
Tu hi hai sansar
Tu hi sur aur tal
Tu hi hai sawal
Tu hi jawab
May 23, 2021
50 sec

Anjaan raaste
Safar naya
Manzil kahan
Kisko hai pata
Bas chal diye
Saath Dil gumshuda
Shayad hum ruthe
Kuch saathi chutee
Kho jaane ki hai arzoo
Dur jaane ki hai arzoo
Khudko paane ki talaash
Hua is raaste se pyaar
Yakeen bas iss ehsaas mein
Iss waqt mein
Iss raat mein
Kahe yeh har baar
Har pal dikhae ek nayi raah
Kadam rakh
Ho beparwah
May 17, 2021
35 sec

Na jaane kab woh shaam aaegi
Hawa jab saare dard le jaegi
Umeed se asmaan bhara hoga
Waqt tera-mera amar hoga
Uss roz
Chai bhi thodi kadak hogi
Zindagi shayad saral hogi
Shaam mein kuch hararat hogi
Zehen mein bas sirf chahat hogi
Uss roz
Hum muskuraenge
Kuch dhun toh gungunaenge
Na jaane kab woh shaam aaegi
Jo bas tujhe dekhte dekhte dhal jaegi.
May 10, 2021
52 sec

Iss hawa mein khone ka mann karta hai
Uss kadakti dhoop ke bether ko chaav hai
Usme lipat jaane ka mann karta hai
Teri aakhon ki sacchai se ek baar phir roobaroo hone ka mann karta hai
Inn badalo ki kahaniyo apne zehen mein kaid karne ka mann karta hai
Uss pahaad ki lod mein thak kar so jaane ka mann karta hai
Woh jo bechain akanshaein hai
Unhe
Woh jo faasla hai mujhme aur meri aakanshao mein
Woh iss dhalte sooraj ki madhoshi mein qurbaan karne ka mann karta hai
May 1, 2021
55 sec

Kagaz aur kalam
Chaar deewar mein band
Shayad yeh bhi hai ek vardaan
Shor hua thoda kam
Ab toh thoda khuse mil
Soch ke daariye mita
Unn chote chote sapne ko
Zabaan tak toh la
Yahan kaun tujhe rokega
Unki aakhon se kab tak khudko tolega
Vishwas kar
Dhyaan de
Aaj kuch samay apne naam kar
Shayad tu samajh jaega ki
Khud se behtar tujhe koi nahi jaan paega.
May 1, 2021
34 sec
