Show notes
Yahan aap dil khol kar apni har Ankahe baatein mujse share kar sakte hai. Voh baatein jo aapko aj bhi kahin na kahin aage badhne se rok rhi hai. Kya aapka mann nhi karta koi aapko sirf advise dene k liye na sune, balki isley sune taaki aapko halka mehsus ho ! Aap dil se acha feel kar sake !! Toh chaliye milkar, iss new month se ek new beginning karte hai ! Promise karte hai apne aap se ki ab apne emotions ko aur restrict nhi karenge. Par yaad rahe ki akele kuch bhi possible nhi hota isley humei milkar ek dusre ka saath dena hai iss safar ko pura karne ke liye-- toh denge na aap sabhi mera sath ?? Kyuki mai toh aapka saath dene k liye ek dum tyaar hu. Chalo phir, bina jaada soch vichaar kiye apni kahani share kar daalo mere sath ! Aur haan, aap pura bharosa kar sakte hai mujh par kyuki kissa chahe koi bhi ho mai aapko bilkul bhi judge nhi karne vali. Ho sakta hai aap apni love life se related kisi baat par pareshan ho ya aapke dost ki koi health issues ho, ghar par abroad jaane ki baat ko lekar jhagda hua ho sakta hai ya shayad proper closure na milne ki wajah se aap aj bhi previous relationship mei atke huye hai aap mujhse bindaas baat kar sakte hai. So start sharing your untold stories with me -- my email id is [email protected] or you can DM me on my instagram @themanishashow . Share and like the episode and if you don't want to miss any upcoming episodes then don't forget to Follow me on Spotify.Give 5 star rating ! Suggestions are always welcome, do share them as they will help me understand what all you want to listen and talk about. Thank you so much for listening :) Stay Tuned & Unfold your Untold Stories !!Love -Manisha



