Shayari
Shayari
Manoj Agarwal
Intrduction To Greatest Poet Sudarshan Faakir - Aaj Ke Daur Mein Ae Dost Ye Manzar Kyoon Hai
5 minutes Posted Apr 12, 2023 at 5:05 pm.
0:00
5:46
Download MP3
Show notes

Aaj ke daur mein ae dost ye manzar kyoon hai


Aaj ke daur mein ae dost ye manzar kyoon hai

Zakhm har sar pe har ik haath mein patthar kyoon hai


Jab haqeeqat hai ke har zarre mein tu rehta hai

Phir zamin par kahin masjid kahin mandir kyoon hai


Apna anjaam to maaloom hai sabko phir bhi

Apnee nazron mein har insaan sikandar kyoon hai


Zindagi jeene ke qaabil hi nahin ab 'Faakir'

Warna har aankh mein ashkon ka samandar kyoon hai



आज के दौर में ऐ दोस्त ये मंज़र क्यूँ है


आज के दौर में ऐ दोस्त ये मंज़र क्यूँ है

ज़ख़्म हर सर पे हर इक हाथ में पत्थर क्यूँ है


जब हक़ीक़त है के हर ज़र्रे में तू रहता है

फिर ज़मीं पर कहीं मस्जिद कहीं मंदिर क्यूँ है


अपना अंजाम तो मालूम है सब को फिर भी

अपनी नज़रों में हर इन्सान सिकंदर क्यूँ है


ज़िन्दगी जीने के क़ाबिल ही नहीं अब 'फ़ाकिर'

वर्ना हर आँख में अश्कों का समंदर क्यूँ है