Shayari
Shayari
Manoj Agarwal
Ye peene waale bahut hi ajeeb hote hain
59 seconds Posted Apr 9, 2023 at 12:42 pm.
0:00
0:59
Download MP3
Show notes

Ye peene waale bahut hi ajeeb hote hain / ये पीने वाले बहुत ही अजीब होते हैं

ये पीने वाले बहुत ही अजीब होते हैं,

जहाँ से दूर ये ख़ुद के क़रीब होते हैं


(जहाँ = दुनिया)


किसी को प्यार मिले और किसी को रुसवाई,

मोहब्बतों के सफ़र भी अजीब होते हैं


(रुसवाई = बदनामी)


मिला किसी को है क्या सोचिये अमीरी से,

दिलों के शाह तो अक्सर गरीब होते हैं


यहाँ के लोगो की है ख़ासियत ये सबसे बड़ी,

हबीब लगते हैं लेकिन रक़ीब होते हैं


(हबीब = मित्र, दोस्त, प्रिय), (रक़ीब = प्रेमिका का दूसरा प्रेमी, प्रेमक्षेत्र का प्रतिद्वंदी)



Ye peene waale bahut hi ajeeb hote hain

jahan se door ye khud ke kareeb hote hain


kisi ko pyaar mile aur kisi ko ruswaayi

mohabbaton ke safar bhi ajeeb hote hain


mila kisi ko hai kya sochiye ameeri se

dilon ke shaah to aksar gareeb hote hain


yahan ke logon ki hai khaasiyat ye sabse badi

habeeb lagte hain lekin raqeeb hote hain