Bait Ul Ghazal - Urdu & Hindi Poetry
Bait Ul Ghazal - Urdu & Hindi Poetry
Bait Ul Ghazal
S03E06 Guftagu Sharaab Par - Zahid sharaab peene de, masjid me baith kar
5 minutes Posted Mar 3, 2024 at 3:24 pm.
0:00
5:04
Download MP3
Show notes

S03E06 Guftagu Sharaab Par - Zahid sharaab peene de, masjid me baith kar


Zahid sharaab peene de, masjid me baith kar

Ya wo jagah bata, jahan khuda nahi

~ Mirza Ghalib


Iss par Allama Iqbal saahab ka jawaab aata hai

Masjid khuda ka ghar hai, peene ki jagah nahi

Kaafir ke dil me jaa, wahan khuda nahi

~ Allama Iqbal


Us par Ahmad Faraz saahab ki daleel suniye

Kaafir ke dil se aaya hoon main, ye dekh kar

Khuda maujood hai wahan, par usse pata nahi

~ Ahmad Faraz


Iske baad Wasi Shah kehte hain

Khuda toh maujood hai, duniya mein har jagah

Tu jannat mein jaa, wahan peena mana nahi

~ Wasi Shah


Saqi Farooqi saahab ne uss par kaha

Peeta hu gam-e-duniya bhulane ke liye saqi

Jannat mein kaunsa gam hai? Isliye wahan peene mein, maza nahi

~ Saqi Farooqi


Inam ul Haq saahab kya kehte hain iss par, yeh suniye

Sharaab sharaab karte ho, phir peene se kyun darte ho?

Agar khauf-e-khuda hai dil mein, toh zikr hi kyun karte ho?

~ Inam ul Haq